Kalma Tauheed Kya Hai?
Kalma Tauheed, yani ek khuda ko manna. Tauheed ka matlab hi ek khuda ko manna aur uski ibadat karna hai. Iska matlab ye samajh aata hai ki hamein sirf Allah ki hi ibadat karni hai aur uske ilawa kisi aur ki ibadat nahi karni chahiye. Kalma Tauheed ek behtareen zikar hai, lihaza hamein Allah Ta’ala ka zikar karte rehna chahiye.
Hadith Mein Kalma Tauheed Ka Maqsad
Hadith mein aata hai agar koi shakhs kisi bhi musibat mein hoga aur us waqt wo Allah Ta’ala ko yaad karega, Allah Ta’ala uski har pareshani se nikalne ka rasta bana dega. Aur usko rizq ata farmayega jahan se wo umeed bhi nahi rakhta.
Hadees mein aata hai jo shakhs is kalma ko apne zikr ki mamool mein shamil kare, uske liye bahut neki hai. Yani subah-shaam ke zikr mein is kalma ko shamil kare aur dheron nekiyan kamaye.
Kalma Tauheed Ki Ahmiyat
Kalma Tauheed ek behtareen zariya hai Allah se dua karne ka, to lihaza is kalme ko padh kar Allah Ta’ala se apni dua kara karein.
Kalma Tauheed hamein ibadat ke taur par subah-shaam ke azkaar mein padhna chahiye. Isse hum Allah ka zikar karte hain.
Ek dafa Musa (A.S.) ne Allah Ta’ala se farmaya, “Ya Allah Ta’ala, mujhe koi behtareen tareeqa bataiye jisse main aapki ibadat kar saku.” Musa (A.S.) ne socha, “Main nabi hoon, toh Allah mujhe kuchh achha batayenge.” Allah ne farmaya, “Ae Musa! Agar tumhein meri ibadat karni hai, toh tum Kalma Tauheed padha karo.” Musa (A.S.) ne farmaya, “Ya Allah! Yeh to poori qaum karti hai. Mujhe koi khaas dua bataiye.” Allah ne farmaya, “Ae Musa! Tum is kalme ko mamuli samajhte ho. Is kalme ka wazan itna hai ke agar ek tarazu ke ek taraf puri zameen aur aasman rakh diya jaye, yani saaton zameen aur aasman rakh diye jayein, toh bhi La ilaha illallah ka wazan zyada hoga.” Is dua ki itni ahmiyat hai jise tum mamuli samajh rahe ho.
Yeh kalma sirf padhne ka nahin hai, balki hamein apni puri zindagi issi Tauheed par guzarni chahiye. Yani dil se bhi kabool karna chahiye aur zubaan se bhi zahir karna chahiye.
Kalma Tauheed Ka Lafz Lafz Ka Matlab
“La ilaha illallah wahdahu la sharika lahu, lahul mulku wa lahul hamdu yuhyi wa yumitu Wahuwa Hayyu-l Laa Yamootu Abadan Abada. Dhul Jalaali Wal Ikraam. Biyadihil Khair. Wahuwa Ala Kulli Shai-in Qadeer.”
Tarjuma:
“Allah ke siwa koi ibadat ke laayak nahi, wo akela hai aur uska koi shareek nahi. Baadshahat usi ke liye hai aur sab tareef usi ke liye hai. Wo zindagi deta hai aur maut deta hai. Uske haath mein har bhalayi hai aur wo har cheez par qadir hai.”
Kalma Tauheed Ka Sahi Tareeqa
Jese aam kalimat padhi jati hain, waise hi Kalma Tauheed bhi padhna chahiye. Isse apne rozane subah-shaam ke azkaar mein zaroor shamil karein. Isse hamare aamaal mein izafa hota hai.
Kalma Tauheed Ki Fazilat
Hamare Nabi (S.A.W.) ne farmaya, agar koi shakhs is kalme ko 100 dafa subah aur shaam padh le, wo apne aamaal mein itni neki jama karega ke agar koi dusra shakhs 100 se zyada ye kalimat padhe, to usse zyada neki kama payega. Iski fazilat bepanah hai.
Kalma Tauheed Padhne Ka Asar
Allah ke zikar mein isse shamil karein, ye bahot behtareen kalma hai. Apne subah-shaam ke azkaar mein isse shamil karein. Isse hamare nekiyon mein izafa hota hai.
Kalma Tauheed Ki Duaen
Kalma Tauheed padh kar dua karni chahiye. Kalma Tauheed khud mein hi ek dua hai, aur isse hum Allah ka zikar karte hain.
Kalma Tauheed ek azeem zikar hai jo humein sirf Allah ki ibadat aur uski wahdaniyat ka paigham deta hai. Yeh kalma na sirf padhna chahiye, balki hamein apni zindagi ko bhi issi tauheed par guzarni chahiye. Islamic Jankari ke mutabiq, hadees mein iski badi fazilat bayan ki gayi hai, aur yeh kaha gaya hai ke jo shakhs is kalma ko subah shaam padh le, wo apne aamaal mein bohot si nekiyaan jama kar lega. Is kalme ko apne subha-shaam ke azkaar mein shamil karna chahiye, kyun ke ye Allah ka zikar aur dua dono hai, jo hamein qurb-e-ilahi tak le jata hai.